"Woh or may"

Woh bari asaani se kehta hai,



"muje tum bhool jao,

may iss qabil nahi k tum mere qareeb ao!

may jaisa hu, jahan b hu, tum bin bohat khush hu,

mere sabr ka na tum jaan k yu aazmao!



May tum say pyar karta hu jahano ki kasam hai,

magar ye b xaruri hai tum muj ko chhor jao!



tumare bin nahi talta mera koi b pal,

magar may tum say tang hu, tum muje ab na satao!



Muje tum say mila hai jo woh duniya may kahan hai?

lekin deti he ho tum kya?muje tum ye batao!



may sacha hu tumhare bin nahi may reh sakta,

magar sach ye chahta hu k tum mujhko bhula doh!



tumhay koi or mujh sa mil jayega dekh lena,

tum muj sa paa nahi sakti chahay tum laakh chaho!..."



Bus uss ki in he baton say kuch pareshan hu may,

apnay hathon ki lakeeron pe khud hairan hu may



mujh sa haseen, haseeno may kahan milta hai?

kitne badnaam say logo may b gumnaam hu may...



woh mera hai k nahi hai muje ab kya maloom?

khud apnay saaye ki pechaan se anjaan hu may...



usay may kya kahu?kya na kahu?ab kya bolu?

bus uss k wastay chand lamho ki mehmaan hu may...



woh mujh say khush b hai, khush b nahi hai..tang b hai!

may uss ki ba-isay pareshani b hu or jaan hu may...



magar ye dard dil may he ab rakhna ho ga..

kyu k uss k liye un chaaha sa armaan hu may....





Woh or may...

Author's Notes/Comments: 

13-11-2008 at 23:10

View naushin84's Full Portfolio